tera khulus-e-dil to mahall-e-nazar nahin par kuchh to hai jo teri zaban mein asar nahin ab wo nahin hai jalwa-e-sham-o-sahar ka rang tera jamal shamil-e-husn-e-nazar nahin hai markaz-e-nigah abhi tak wo aastan ye aur baat hai ki majal-e-safar nahin ud bhi chalen to ab wo bahaar-e-chaman kahan han han nahin mujhe hawas-e-baal-o-par nahin tark-e-talluqat khud apna qusur tha ab kya gila ki un ko hamari khabar nahin chup chap sah rahe hain ki apnon ka jaur hai ab khub jaante hain fughan kargar nahin kuchh hai to apni zud-yaqini se hai gila tujh se to ab kalam bhi ai chaaragar nahin