bhuli-bisri baaton se kya tashkil-e-rudad karen hum ko to kuchh yaad nahin hai aap hi kuchh irshad karen pahle-pahal jab aap ka joban itna shahr-ashob na tha ek mushtaq se sada-dil insan ki parastish yaad karen aap se mumkin hai dil-jui yazdan ki ye rit nahin jis ko sun kar chup rahna hai us se kya fariyaad karen ishq ne saunpa hai kaam apna ab to nibhana hi hoga main bhi kuchh koshish karta hun aap bhi kuchh imdad karen juzw-e-tabiat ban jaen to jaur karam ho jate hain lutf na ab raij farmaen sirf sitam ijad karen