ek baat bahut khas thi chehron ke safar mein tute hue aaine mile rahguzar mein rahta hun ujalon ke andheron ke safar mein ye kis ne mujhe bant diya sham-o-sahar mein diwangi-e-shauq ki azmat hai nazar mein sahraon ki taswir laga rakkhi hai ghar mein jab tak ki na aa jaun main sahil ki nazar mein rahne de mujhe gardish-e-taqdir bhanwar mein aa jae agar baal to mit jate hain jauhar main rakhta nahin tuta hua aaina ghar mein badh jaegi ai ham-safaro duri-e-manzil guzri hui baaton ko na doharao safar mein ho pyar to aasani se aa sakta hai 'saulat' jannat ka maza chhote se tute hue ghar mein