chubh gaya dil mein khar ki surat wo jo rahta tha yar ki surat uljhanen dard aabla-pai zindagi kohsar ki surat kaun aaega is kharabe mein rang khushbu bahaar ki surat lakh chaha magar nahin nikli qaid-e-gham se farar ki surat waqt hai wo har ek sine par khauf baitha hai mar ki surat ab thaharta kahan hai mehwar par aadmi hai ghubar ki surat hosh-mandon ke shahr mein bhatke hum 'sharafat' ganwar ki surat