bichhad gae the kisi roz khel khel mein hum ki ek sath nahin chadh sake the rail mein hum zara sa shor-e-baghawat utha aur us ke baad wazir takht pe baithe the aur jail mein hum pata chala wo koi aam panting nahin hai aur us ko bechne wale the aaj sale mein hum jafa ki ek hi tili se kaam ho jata ki pure bhige hue the ana ke tel mein hum jo shar-pasand hain nafrat ke bij bote rahen jute rahenge mohabbat ki dagh-bel mein hum bas ek bar hamare dilon ke tar mile phir us ke baad nahin aae tal-mel mein hum ye shairi to meri jaan bas ek bahana hai sharik yun bhi nahin hote khel-wel mein hum sukhan ka tausan-e-chaalak be-lagam nahin hamein hai pas-e-riwayat so hain nakel mein hum wahan hamare qabilon mein jang chhid gai thi so thar ke bhage hue aa base the kel mein hum ye ek dukh to koi masala nahin 'kashir' pale bade hain isi gham ki rel-pel mein hum