uljhanon mein hi ulajhti zindagani rah gai bas wafaon ki badaulat shadmani rah gai tum falak par chand ban kar raushni dete rahe main mahakti si tumhaari raat-rani rah gai khwab sab be-nur hain be-rang gum-sum raunaqen zindagi tum bin kahan ab zafrani rah gai dhal rahi hai shab udasi dard ka aalam hua ye supurd-e-khak duniya fani fani rah gai jism ko kar ke juda jag ho gaya masruf par ruh mein thahri mohabbat ki rawani rah gai ban ke dushman ye muqaddar pal sunahre le gaya par hansi jis se 'adhar' par wo nishani rah gai