shabnam ki tarah subh ki aankhon mein pada hai haalat ka mara hai panahon mein pada hai tha zindagi ke saz pe chheda hua naghma be-rabt jo tute hue sazon mein pada hai suraj ki shuaon se ulajhta hai musalsal saya hai abhi waqt ki bahon mein pada hai tarikh bataegi wo qatra hai ki dariya aansu hai abhi waqt ke qadmon mein pada hai is tarah wo rad karta hai 'alam' ke kahe ko jaise koi bharpur gunahon mein pada hai