bichhad ke un ke hum is ehtimal se bhi gae bayan-e-gham se gae arz-e-haal se bhi gae thi jin ki yaad se raushan khayal ki duniya wo aise ruthe bisat-e-khayal se bhi gae nigahen milne se mumkin hai pyar aa jae hum un ki bazm mein kuchh is khayal se bhi gae unhon ne aa ke koi haal tak nahin puchha banawati hi sahi indimal se bhi gae dil un ko de ke bahut mutmain hue hum bhi ki roz roz ki ab dekh-bhaal se bhi gae nigah-e-lutf nahin to nigah-e-qahr sahi sitam to ye hai hum is ehtimal se bhi gae wo aae chin-ba-jabin is liye sar-e-mahfil hum un se ab to jawab-o-sawal se bhi gae dil ek piyala tha mitti ka wo bhi tut gaya nigah milte hi jam-e-sifal se bhi gae khuda pe chhod ke ai 'mauj' kashti-e-ulfat sukun pa gae fikr-e-maal se bhi gae