inqilab-e-dahr ruk ruk kar jawan banta gaya jo subuk-sar tha wahi sang-e-garan banta gaya naghma-e-dil jab badha aah-o-fughan banta gaya aasman ek aur zer-e-asman banta gaya jaane kya bhar di hain us ne is chaman mein shokhiyan jo bhi aaya wo chaman ka raaz-dan banta gaya har-nafas ko apni manzil ka pata milta nahin jo jahan thahraw hain ek karwan banta gaya sard aahon ka tasarruf ho to soz-e-dil kahan dil se jo shoala utha wo bhi dhuan banta gaya be-sabab hota nahin jazbaat-e-dil ka walwala jis ne samjha aai apna raaz-dan banta gaya kuchh bahaaron mein khizan hai kuchh khizan mein hai bahaar phul murjhae to ghuncha gulistan banta gaya aadmi ki asliyat ko aadmi samjha nahin ek qatra tha jo bahr-e-be-karan banta gaya hum to baithe hi rahe apni asiri ko liye banne wala kaam be-wahm-o-guman banta gaya 'mir'-o-'ghaalib' se badhe to hazrat-e-iqbaal tak shaghl sher-o-shaeri ka jawedan banta gaya dahr mein ye bhi to hain qanun-e-fitrat ke usul jo nazar se gir gaya wo dilsitan banta gaya barq ki sar-garmiyan tasnim phir bhi ai 'kalim' bijliyan girti rahen aur aashiyan banta gaya