bichhadne ki suhulat mil na jae makin ko izn-e-hijrat mil na jae main kanp uthti hun itna soch kar hi ki tu hasb-e-zarurat mil na jae hatheli se na mas ho jae nowel fasane se haqiqat mil na jae bayabanon se jo ghabra ke laute unhen basti mein wahshat mil na jae main wird-e-sura-e-rahman rakkhun mujhe jab tak hidayat mil na jae tawatur se agar milte rahe hum kahin apni tabiat mil na jae badi shiddat se jina chahti thi magar ab ye ijazat mil na jae