khuda-parast mile aur na but-parast mile mile jo log wo apne nashe mein mast mile kahin khud apni durusti ka dukh nahin dekha bahut jahan ki durusti ke bandobast mile kahin to khak-nashin kuchh buland bhi honge hazaron apni bulandi mein kitne past mile ye sahl fath to phiki si lag rahi hai mujhe kisi azim muhim mein kabhi shikast mile ye shakh-e-gul ki lachak bhi payam rakhti hai basan-e-tegh the jo hum ko haq-parast mile suna hai chand tahi-damanon mein zarf to tha 'surur' hum ko tawangar bhi tang-dast mile