bichhadte waqt to kuchh us mein gham-gusari thi wo aankh phir to har ek kaifiyat se aari thi na jaane aaj hawaon ki zad pe kaun aaya na jaane aaj ki shab kis diye ki bari thi zara si der ko chamki to thi ghanim ki tegh sawad-e-shahr mein phir raushni hamari thi safar se laute to jaise yaqin nahin aata ki sari umr isi shahr mein guzari thi harif tegh se mein apni aagahi se lada ye adl waqt kare kis ki zarb kari thi dilon ke khel bhi kaise ajib khel hain 'shauq' ki main udas tha bazi kisi ne haari thi