raat kitni raushan hai kuchh likha-padhi kar len aao phir ghazal kah len chandni ke manzar mein do ghadi zara dahken aao phir ghazal kah len in andheri raaton ke khaufnak sayon se bach ke subh tak ji len zahr dhup ka chakh kar maut ko ziya bakhshen aao phir ghazal kah len wo ki ek chehra hai ya kitab ya dariya ya koi samundar hai nim-baz aankhon mein us ki jhank kar dekhen aao phir ghazal kah len chandni ka ras pine dur tak nikal jaen bhul jaen duniya ko khurduri si sadkon par der tak yunhi ghumen aao phir ghazal kah len jaan-nashin se dushman tak sare rishte naton ko phenk den samundar mein lahr lahr bedari ki hasin rida odhen aao phir ghazal kah len dardnak chehron par muskurahaten odhe khud ko ja-ba-ja bechen hum 'tapish' tumhein guzra waqt man kar sochen aao phir ghazal kah len