kab ziya-bar tera chehra-e-zeba hoga kya jab aankhen na rahengi to ujala hoga mashghala us ne ajab saunp diya hai yaro umr bhar sochte rahiye ki wo kaisa hoga jaane kis rang se ruthegi tabiat us ki jaane kis dhang se ab us ko manana hoga is taraf shahr udhar dub raha tha suraj kaun sailab ke manzar pe na roya hoga yahi andaz-e-tijarat hai to kal ka tajir barf ke bat liye dhup mein baitha hoga dekhna haal zara ret ki diwaron ka jab chali tez hawa ek tamasha hoga aastinon ki chamak ne hamein mara 'anwar' hum to khanjar ko bhi samjhe yad-e-baiza hoga