bigad rahe hain hansi lab pe aai jati hai ada bhi aisi ki dil mein samai jati hai badha ke rasm-e-mohabbat ghatai jati hai khata hamari hi ye bhi batai jati hai nigah-e-naz ki tasir uf maaz-allah utar ke aankh se dil mein samai jati hai ye bahr-e-ishq mein kaise kinare pahunchegi abhi se kashti-e-dil dagmagai jati hai guzishta raat ke sadme abhi na bhule the sitam hai sham-e-musibat phir aai jati hai ye sach hai zid hai mohabbat ko raazdari se ayan ye hoti hai jitni chhupai jati hai chala hai kucha-e-qatil mein kya samajh kar dil ye apne hathon se shamat bulai jati hai qarib aaya hai shayad bahaar ka mausam ye baat kya hai jo wahshat samai jati hai kahan wo lutf-o-mohabbat kahan ye haalat hai har ek baat pe tyori chadhai jati hai majal kya hai jo mai-kash koi bahak jae ba-qadr-e-zarf har ek ko pilai jati hai qafas ke samne hota hai zikr gulshan ka khabar bahaar ki hum ko sunai jati hai koi fareb hai dhoka hai chaal hai ye bhi jo hum se rasm-e-mohabbat badhai jati hai sitam-zarifi to dekho ki sath wade ke qasam bhi jhuti mere sar ki khai jati hai ilahi khair ho mashq-e-khiram hoti hai qadam qadam pe qayamat uthai jati hai khafa wo baithe hain aghyar us pe bharte hain ye aag aur lagi mein lagai jati hai na puchho bazm mein 'ishrat' se aarzu kya hai ye baat kan mein chupke batai jati hai