din hua KHatm waqt-e-sham aaya

din hua khatm waqt-e-sham aaya
hijr mein maut ka payam aaya

har ghadi lab pe un ka nam aaya
bekasi mein yahi to kaam aaya

hai mohabbat mein raazdari shart
lab tak un ka kabhi na nam aaya

shab ko wada hai un ke aane ka
kis musibat se waqt-e-sham aaya

gham nahin dil jo mil gaya un se
na sahi mere un ke kaam aaya

sunne wala bayan hai waiz ka
main abhi pi ke ek jam aaya

kya mohabbat mein ghair ka shikwa
dil jo apna tha kab wo kaam aaya

wasl ka zikr sunte hi bole
phir zaban par wahi kalam aaya

khum ke khum ghair kar gae khali
mere hisse mein ek jam aaya

harf-e-matlab na tha kahin marqum
khat bhi un ka barae nam aaya

khub pite pilate ai zahid
zohd-o-taqwa bhi koi kaam aaya

ek haalat se hijr mein guzri
farq koi na subh-o-sham aaya

kis bayaban mein lai hai wahshat
ai junun kaun ye maqam aaya

ab ye aalam hai na-tawani ka
lab pe nala bhi na-tamam aaya

be-nishan ho gai meri turbat
is tarah kaun khush-khiram aaya

ibtida thi wo ishq-o-ulfat ki
dil sa hamdard jis mein kaam aaya

sharh-e-gham kar saka na mahshar mein
sab ke aakhir mein mera nam aaya

chhed thi ye bhi aap ke khat mein
ghair ka jo likha salam aaya

rahne denge na but haram mein mujhe
dair se aaj phir payam aaya

dil se ummid thi hamein kya kya
wo bhi 'ishrat' unhin ke kaam aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close