bigadne wala kisi din sanwar hi jaega mizaj-e-dost bil-akhir sudhar hi jaega mariz-e-ishq abhi bekali mein hai lekin bukhar ek din us ka utar hi jaega jo phul aaj sar-e-shakh hai mahakta hua wo ek mauj-e-saba mein bikhar hi jaega guzar rahi hai pareshan zindagi lekin chale chalo ki ye rasta guzar hi jaega isi khayal se neki zarur karti hun ki bund bund se talab bhar hi jaega jo gir ke rah mein uthne ka azm rakhta hai wo par aag ka dariya bhi kar hi jaega ye soch kar hi rawabit mein ijz bhi rakhna hai jis ki khak jahan ki udhar hi jaega 'sabila' khwab mein wo sair ko agar nikle udan-khatole pe pariyon ke ghar hi jaega