kuchh aansu ro lene ke baad nazar-e-KHwab ho gaya

kuchh aansu ro lene ke baad nazar-e-khwab ho gaya
main tum ko yaad karte karte gahri nind so gaya

ragen lakiren ho gain masam nuqte ban gae
badan tumhaari yaad mein huruf-e-nazm ho gaya

main bhul aaya khol kar kitab-e-umr padhte waqt
sahab-e-gham jo guzra kal waraq waraq bhigo gaya

ab us ke ratjagon ne bhi pahan liya ghilaf-e-nind
jo chilla-kash tha ghaar mein hujum mein wo kho gaya

main mahw-e-sher-goi tha mujhe khabar na ho saki
ki mere ird gird bhi zamana sara so gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close