bigDa jo waqt zinat-e-bazar ho gae

bigda jo waqt zinat-e-bazar ho gae
nilam kaise kaise kharidar ho gae

main phul tha to pairon tale raundte the log
patthar hua to mere parastar ho gae

diwaren uth rahi hain mere ghar ke sahn mein
lagta hai mere bete samajhdar ho gae

shayad tere jahan mein sharafat gunah hai
main mom kya hua sabhi talwar ho gae

ungli thama ke jin ko chalaya tha panw panw
chalne lage to rah ki diwar ho gae

zar pas ho to jab jise chaho kharid lo
hum sab mata-e-kucha-o-bazar ho gae

'arif' se haq-parast bhi sab jaan ke khauf se
un qatilon ke hashiya-bardar ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close