lafzon ke karobar mein pahchan ho gain jaan-e-sukhan se aap meri jaan ho gain shayad unhen bhi gal ko chhune ki lat lagi zulfen hasin rukh pe pareshan ho gain mujh ko ye kah rahi hain idhar se nahin guzar rahen tumhaare shahr ki anjaan ho gain surat tumhaari dil mein hifazat ke sath hai yaadon ki toliyan jo nigahban ho gain is intizar mein hai nigahon ka haal yun takte tumhaari rah ko be-jaan ho gain milna nahin hai aap ne mujh ko yaqin hai pura na ho sake jo wo arman ho gain is zindagani mein mera rahbar tera jamal jitni bhi thokaren lagin aasan ho gain muddat hui hai aap ne sine rakha na hath galiyan ye dil ki tab se hain viran ho gain likkha hai mere hath mein ab tum nahin ho sath aaengi jo bhi ghadiyan wo nuqsan ho gain ye to hamare bich mohabbat ke raaz the baaten likhi hain man ki to diwan ho gain dhadke hai dil mein nam hamesha janab ka dilbar kahan hain aap to jaanan ho gain