bigDi baat banana mushkil baDi baat banae kaun

bigdi baat banana mushkil bigdi baat banae kaun
kunj-e-tamanna virana hai aa kar phul khilae kaun

tan ki daulat man ki daulat sab khwabon ki baaten hain
nau man tel na ho to ghar mein radha ko nachwae kaun

apna gham ab khud hi utha le warna ruswai hogi
tera bhed chhupa kar dil mein nahaq bojh uthae kaun

chalti gadi nam ka rishta kya mohan kya radha aaj
ban ke sanwar ke ras racha ke mohan aaj manae kaun

sagar par ki khabren dekhe ham-sae ka pata nahin
aaj ka insan aalam fazil us ko ab samjhae kaun

na-ummidi nam-e-tamanna apna muqaddar hijr-e-musalsal
dard ke kharistan mein aa ke daman-e-dil uljhae kaun

raat bhi kali chadar odhe aa pahunchi hai zine mein
mehndi lagae baithi soche lat uljhi suljhae kaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close