dil bahalne ka jahan mein koi saman na hua apna hamdard kabhi aalam-e-imkan na hua shikwa-e-hijr na bhule se bhi aaya lab par ru-ba-ru un ke main khud-karda pasheman na hua ham-nashin puchh na haal-e-dil-e-nakaam-e-azal yahi hasrat rahi pura koi arman na hua be-khudi mein ye hai aalam tere diwanon ka fasl-e-gul aai magar chaak gareban na hua koi kya jaane ki kya lutf khalish hai hasil mera hi dil hai ki minnat-kash-e-darman na hua yun to hamdard zamana tha ba-zahir lekin kisi surat se ilaj-e-gham-e-pinhan na hua be-dhadak jaane ki himmat na hui mahshar mein munh chhupane ke liye dast-ba-daman na hua dil bahalta bhi to kis tarah bahalta shab-e-gham saz-o-saman na hua naghma-ehirman na hua pursish-e-haal pe aankhon mein bhar aae aansu aise majbur hue zabt bhi aasan na hua zarre zarre se ayan husn ki ranai hai wo hasin tu hai ki pardon mein bhi pinhan na hua main tha mushtaq tere jalwe ka ai maya-e-husn rah ke parde mein bhi to shoala-e-uryan na hua chain se qaid tayyun mein basar ki ai 'shauq' dil bhi jamiyat-e-khatir se pareshan na hua