bijliyan TuT paDin jab wo muqabil se uTha

bijliyan tut padin jab wo muqabil se utha
mil ke palti thin nigahen ki dhuan dil se utha

jalwa mahsus sahi aankh ko aazad to kar
qaid-e-adab-e-tamasha bhi to mahfil se utha

phir to mizrab-e-junun saz-e-ana-laila chhed
hae wo shor-e-anal-qais ki mahmil se utha

ikhtiyar ek ada thi meri majburi ki
lutf-e-sai-e-amal is matlab-e-hasil se utha

umr-e-ummid ke do din bhi giran the zalim
bar-e-farda na tere wada-e-baatil se utha

khabar-e-qafila-e-gum-shuda kis se puchhun
ek bagula bhi na khak-e-rah-e-manzil se utha

hosh jab tak hai gala ghont ke mar jaane ka
dam-e-shamshir ka ehsan tere bismil se utha

maut hasti pe wo tohmat thi ki aasan na uthi
zindagi mujh pe wo ilzam ki mushkil se utha

kis ki kashti tah-e-girdab-e-fana ja pahunchi
shor-e-labbaik jo 'fani' lab-e-sahil se utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close