kyun main bar-e-digar jaun phir se us ke dar jaun tujh aankhon se jahan dekhun be-rangi se dar jaun tu chahe to ji utthun tu chahe to mar jaun main be-ant samundar hun kaise dariya mein utar jaun chadar-e-shab hun main teri tu odhe to sanwar jaun khwab na dekhun to 'amabar' shayad main bhi mar jaun