teri aankhon mein jo nasha hai pazirai ka rang bhar de na meri zist mein ruswai ka tujh ko afsun-e-mohabbat ki zarurat kya thi sehr kuchh kam to nahin tha teri ranai ka dil to kya chiz hai jaan us pe tasadduq kar dun ye agar arbada bhi ho kisi harjai ka sochta hun dil-e-betab pe kya guzregi samna ho gaya gar phir shab-e-tanhai ka kahin aisa na ho is lutf-o-mudaraat ke baad imtihan ho mere pindar-e-shakebai ka