bikherun rang khushbu ko masal dun mile jo phul chehra noch dalun jawan ho kar bhi bachchon ki si aadat khilaunon se abhi tak khelta hun samundar mein hun mauj-e-muztarib sa magar sahraon jaisi pyas rakhkhun wo mujh mein dhal raha hai aur main us mein khud apna sa koi lahja tatolun mizaj-e-gul-parasti gudgudae shamim-e-gul pe us ka nam likkhun