hawa ke takht par agar tamam umr tu raha mujhe khabar na ho saki pa sath sath main bhi tha chamakte nur ke dinon mein tere aastan se dur wo main ki aaftab ki safed shakh par khila hijab aa gaya tha mujh ko dil ke iztirab par yahi sabab hai tere dar pe laut kar na aa saka wo kis makan ki dhup thi, gali gali mein bhar gai wo kaun sabza-rukh tha jo ki mom sa pighal gaya kabhi to chal ke dekho sae pipalon ke des ke jahan ladakpana hamare hath se juda hua