nigah-e-naz ka rishta jo dil ke ghaw se hai ye aab-o-rang-e-tamanna isi lagaw se hai ba-qadr-e-zarf piye aur apni rah lage sharab-khane ki raunaq hi chal-chalaw se hai wafa to kya hai bas ek pas-e-waza kah lije aur itni baat bhi mere hi rakh-rakhaw se hai hakim apne hi sae ki nap-tol mein gharq farogh-e-fikr magar aql ke giraw se hai