dharti par jab khun bahta hai baadal rone lagta hai dekh ke shahron ki virani jangal rone lagta hai lakh kare wo zabt ka dawa waqt-e-rukhsat sab be-kar aankhen chahen roen na roen kajal rone lagta hai beti ki zid ke aage man chup ho jati hai lekin nange sar ki mahrumi par aanchal rone lagta hai khushbu khushbu lipte rahna sanpon ki majburi hai warna apni be-qadri par sandal rone lagta hai tujh se bichhad kar ghair ke aage roe hon to hum mujrim dil ka kya hai dil pagal hai pagal rone lagta hai