bikhra pada tha ja-ba-ja kachra wajud ka hum chhod aae us gali malba wajud ka har roz mang mang ke leta hun sans bhi badhta hi ja raha hai ye qarza wajud ka kitni shikast-o-rekht hui kuchh nahin pata mujh ko mila nahin abhi qabza wajud ka taza hawa na raushni na baam-o-dar na chhat mujh ko samajh na aa saka naqsha wajud ka ek umr ho gai use khali pade hue bigda hua hai is liye huliya wajud ka kuchh kadwe ghunt chahiyen har raat us ko ab yun aur badh gaya hai ye kharcha wajud ka mere sabab ye khal-o-khad us ke bigad gae sunta hun subh sham ye tana wajud ka tum hi batao kaise chala us ka silsila mujh ko to mil saka nahin shajara wajud ka ek sher-fahm shakhs ki khwahish pe dosto lo hum ne likh diya hai ye nauha wajud ka jun jun main sochta hun takhayyul mein us ka lams kuchh aur badhta jata hai nashsha wajud ka meri to ek baat bhi sunta nahin ye dil hathon mein ab nahin raha bachcha wajud ka 'danish' main tang aa gaya is bad-mizaj se sanbhle nahin sanbhalta hai ghussa wajud ka