hasil-e-mohabbat mein gham bahut zaruri hai ye agar nahin to phir shairi adhuri hai pyar bin mukammal kab aadmi hua jaanan pyar jo nahin to phir zindagi adhuri hai chahaton ki rut ho to dhup dhup mausam mein har qadam pe hai shimla har qadam masuri hai swabhiman se badh kar kuchh nahin hai jiwan mein phir ye kyon khushamad hai kyon ye ji huzuri hai jagte hue aksar khwab dekhne walon khwab bhi zaruri hai nind bhi zaruri hai sabr 'anjana' mujh se puchhta hi rahta hai yar ke milan mein ab aur kitni duri hai