bure insan ko bad-kari ka mehwar khinch leta hai ki jaise-taise dariya ko samundar khinch leta hai bhare bazar mein us shakhs ko sangsar kar dena gale se apni biwi ke jo zewar khinch leta hai qadam mere nikal padte hain jab gumrah raston par mujhe quran ki jaanib tera dar khinch leta hai main apne biwi bachchon mein kahan se pyar bantunga lahu mere badan ka jabki daftar khinch leta hai mere mahbub ki tahrir se hai kis qadar manus khaton ke dher se wo khat kabutar khinch leta hai jahan ghurbat bilakti hai jahan masum rote hain meri ghazlon ka shahzada wo manzar khinch leta hai jawani thi to man-mani ka tufan tha tabiat mein budhape mein qadam rakkha to bistar khinch leta hai 'amin' ehsas tera dubta hai jab takhayyul mein samundar ke kinare hi se gauhar khinch leta hai