bikhre bikhre baal aur surat khoi khoi man ghayal karti hain aankhen roi roi malbe ke niche se nikla man ka lasha aur man ki godi mein bachchi soi soi ek larazte pal mein banjar ho jati hain aankhon mein khwabon ki faslen boi boi sard hawaen shahron shahron chikhen laen marham marham khema khema loi loi main to pahle hi se bar liye phirta hun tan ke andar apni jinddi moi moi jiwan ka sailab umadta hi aata hai lekin dhor hazaron banda koi koi raat aakash ne itne ashk bahae 'aslam' sari hi dharti lagti hai dhoi dhoi