bikhre hue taron se meri raat bhari hai ye nur hai ya nur ki daryuza-gari hai hai aaj bhi pahlu mein wahi zakhm-e-bahaaran ab tak meri aankhon mein har ek shakh hari hai duniya mein andheron ke siwa aur raha kya ek teri tamanna so charagh-e-sahari hai ab sath na de paenge tute hue bazu udte hue lamhon se meri ham-safri hai har lahza badalti hui aankhon pe na jao dil ke liye ummid-e-faza be-khabari hai jalwe ki basirat ko samajhti nahin aankhen aaine ka maqdur pareshan-nazari hai udte hue aate hain abhi sang-e-tamanna aur kar-gah-e-dil ki wahi shishagari hai chup-chap darichon ki taraf dekhte phirna zinda hain to 'shahzad' yahi dar-badri hai