le jaun kahin un ko badan par hi rakkhun main apni khalaon ko pur-asrar hi rakkhun aankhon se girun aur uthun dasht-e-falak tak pani hun to sathen meri hamwar hi rakkhun duniya ko bhi le aaun kabhi nok-e-zaban tak ghaeb hai jo us ko sar-e-izhaar hi rakkhun lamhon ki daradon mein ugaun koi jazba hai waqt khandar to use mismar hi rakkhun ijad karun sat samawat ka chehra chehre pe tere lams ko bedar hi rakkhun anfas ke nuqte mein simat aaun 'riyaz' ab yun apne bikharne ke kuchh aasar hi rakkhun