sard hawa hai nauhagar raat bahut guzar gai ghaur se dekh chashm-e-tar raat bahut guzar gai nind mein gum hain dasht-o-bagh bujh gae shahr ke charagh aise mein jaun main kidhar raat bahut guzar gai ab to simat rahe hain sae laut ke wo jawan na aae dil mein ajib sa hai dar raat bahut guzar gai gunj rahi hai dur tak apne hi qadmon ki sada suni padi hai rahguzar raat bahut guzar gai jashn-e-tarab hua tamam kushta-charagh-o-saz-o-jam bikhre pade hain farsh par raat bahut guzar gai mahfil-e-dostan se kab uthne ko chahta hai dil soch raha hun jaun ghar raat bahut guzar gai jaga na ek shakhs bhi meri nawa-e-dard se nale gae hain be-asar raat bahut guzar gai dil mein mere utar gai sahn-e-makan ki tirgi bujh gai shama taq par raat bahut guzar gai khauf ke sae chaar-su ai mere yar mah-ru aaj yahin qayam kar raat bahut guzar gai so gae ghar ke sab makin par mere intizar mein jag rahe hain baam-o-dar raat bahut guzar gai ghar ki munder se gai chand ki zard raushni dur nahin hai ab sahar raat bahut guzar gai