zinda hun yun ki bas mein meri khud-kushi nahin aakhir ye aur kya hai agar bebasi nahin wo dil diya nasib ne jis mein khushi nahin ek chiz to mili hai magar kaam ki nahin han ai shab-e-firaq tujhe jaanta hun main tu subh tak rahi to meri zindagi nahin hargiz fareb-e-rang-e-masarrat na khaiye ye gham ka nam hai ye haqiqi khushi nahin duniya ki zinaton mein nahin koi bhi kami lekin meri nazar mein wo dil-bastagi nahin arman bhi wahin hain tamanna bhi hai wahi jis dil se thi ye garmi-e-mahfil wahi nahin hansne mein bhi nihan hain yahan nala-ha-e-dard pamal rasm-e-ijz meri bandagi nahin ummid hai jawab-e-gham-e-arzu magar wo kya kare jise koi ummid hi nahin wade ne tere sare irade badal diye haalanki dard-e-dil mein zara bhi kami nahin main hun ki mujh se sara zamana khilaf hai haalanki jurm-e-ishq se koi bari nahin ibrat-faza hai ahl-e-zamana ke waste 'shaukat' wo dastan jo kisi ne suni nahin