manzil-e-be-jahat ki khair sai-e-safar hai raegan ahl-e-wafa ke qafile phir bhi to hain rawan dawan zahr hai mere jam mein honton pe aa gai hai jaan phir bhi mujhe hayat par tere karam ka hai guman dahr pe main khula nahin mujh ko khuda mila nahin aap hi apna raaz hun aap hi apna raaz-dan husn ko chhu ke dekhna aag tha mom ke liye ruh pighal ke rah gai aql hui dhuan dhuan wo bhi to hain ki zindagi jin ke liye hai angbin zaiqa-e-hayat se ainth gai meri zaban gosh-e-gul-bahaar mein kis ne kaha hai harf-e-shauq kaun hai mera tarjuman kis ko mili meri zaban