pabandi-e-auqat-e-dua kis ke liye hai

pabandi-e-auqat-e-dua kis ke liye hai
raaton ki ibaadat ka sila kis ke liye hai

hain kis ke liye madh-bhari aankhon ke ishaare
gulnar se honton ki faza kis ke liye hai

hum log dua denge teri zulf-e-siyah ko
malum ho ye shahr-e-saba kis ke liye hai

kya nam hai us shakhs-e-jawan-bakht ka ai dost
khalwat ki ye dhimi si sada kis ke liye hai

khwabon ke tarab-zar mein ye kaun mila tha
tanhai mein tu naghma-sara kis ke liye hai

aaraish-o-tazin ka khayal aaya hai kab se
hathon pe ye tahrir-e-hina kis ke liye hai

kaun aaega khwabon ke dhundlakon se tere pas
aankhon mein ye paigham-e-wafa kis ke liye hai

ai parda-nashin sharm-o-haya khub hai lekin
aakhir wo teri shokh ada kis ke liye hai

itna to bata de tere masum se dil mein
ye mahshar-e-jazbaat bapa kis ke liye hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close