bimar ho gaya hun shifa-khana chahiye ye sara shahr mujh ko bayabana chahiye sanson ki zarb se na katega hamara habs hum ko to ek pura hawa-khana chahiye yun hi dikha rahi hai mohabbat ke sabz bagh mere badan ko ruh se harjaana chahiye takhir ho gai to bikhar jaega badan aaghosh-e-yar ab tujhe khul jaana chahiye phir dawat-e-gunah mili ek nigah se phir meri parsai ko sharmana chahiye wo jalwa samne ho to kaisi dua-salam bas dekhte hi kaam pe lag jaana chahiye dekhen to kaun jata hai mahmil mein khwab ke tabir ke ghazal ko daudana chahiye udham macha rahe hain bahut log shahr ke 'ehsas-ji' ko dasht se bulwana chahiye