dil agar hota to mil jata nishan-e-arzu tum ne to mismar kar dala makan-e-arzu na-mukammal rah gaya aakhir bayan-e-arzu kahte kahte so gae hum dastan-e-arzu dil pe rakh lo hath phir sunna bayan-e-arzu dastan-e-arzu hai dastan-e-arzu hazrat-e-musa yahan laghzish na kar jaana kahin imtihan-e-arzu hai imtihan-e-arzu dil mera dushman sahi lekin kahun to kya kahun raaz-dan-e-arzu hai raaz-dan-e-arzu tum to sirf ek did ki hasrat pe barham ho gae kam se kam puri to sunte dastan-e-arzu