bin mange mil raha ho to khwahish fuzul hai suraj se raushni ki guzarish fuzul hai kisi ne kaha tha tuti hui naw mein chalo dariya ke sath aap ki ranjish fuzul hai nabud ke suragh ki surat nikaliye maujud ki numud o numaish fuzul hai main aap apni maut ki tayyariyon mein hun mere khilaf aap ki sazish fuzul hai ai aasman teri inayat baja magar faslen paki hui hon to barish fuzul hai ji chahta hai kah dun zamin o zaman se main manzil agar nahin hai to gardish fuzul hai inam-e-nang-o-nam mere kaam ke nahin majzub hun so meri sataish fuzul hai