chhoda tha apna des ki qadren badal gain pahuncha jo shahr-e-nau mein to samten badal gain khana-kharab-haal se be-kaifiyan na puchh shamen udas ho gain bazmen badal gain kahna jo koi bichhda hua mujh ko puchh le us shair-e-jamal ki fikren badal gain ai shahr-e-khamushan mere apne kahan gae katbe zamin nigal gai qabren badal gain ab pyar mein wafaon ki rasmen nahin rahin zulfon mein qaid rahne ki sharten badal gain aazadiyon ke raqs-e-barahna ka daur hai ajdad the ghulam wo naslen badal gain han han yahi dayar tera ku-e-yar hai 'rizwan' ye kya hua teri nazren badal gain