chhupi dil mein jo yaad-e-yar hogi masafat aur bhi dushwar hogi khabar kya thi ki hail raste mein pas-e-diwar bhi diwar hogi gila inkar ka us se karun kya koi to surat-e-inkar hogi use jab manna kuchh bhi nahin hai dalalat bhi meri be-kar hogi mujhe malum hi kab tha ye pahle khirad khud hi junun-asar hogi sar-e-mahfil meri aatish-bayani kisi ka shoala-e-rukhsar hogi wo gul mahkega jab dil ke chaman mein meri har sans khushbu-dar hogi ghurur-e-sar-bulandi kya ki ek din na sar hoga na ye dastar hogi meri khak-e-badan ek roz 'shahid' barae kucha-e-dildar hogi