bismil ke tadapne ki adaon mein nasha tha main hath mein talwar liye jhum raha tha ghunghat mein mere khwab ki tabir chhupi thi mehndi se hatheli mein mera nam likha tha lab the ki kisi pyali ke honton pe jhuke the aur hath kahin gardan-e-mina mein pada tha hammam ke aaine mein shab dub rahi thi cigarette se nae din ka dhuan phail raha tha dariya ke kinare pe meri lash padi thi aur pani ki tah mein wo mujhe dhundh raha tha malum nahin phir wo kahan chhup gaya 'adil' saya sa koi lams ki sarhad pe mila tha