chaaron taraf se maut ne ghera hai zist ko aur us ke sath hukm ki ab zindagi karo bahar gali mein shor hai barsat ka suno kundi laga ke aaj to ghar mein pade raho chhod aae kis ki chhat pe jawan-sal chand ko khamosh kis liye ho sitaro jawab do kyun chalte chalte ruk gae viran rasto tanha hun aaj main zara ghar tak to sath do jis ne bhi mud ke dekha wo patthar ka ho gaya nazren jhukae dosto chup chup chale chalo allah rakkhe teri sahar jaisi kam-sini dil kanpta hai jab bhi tu aati hai sham ko viran chaman pe roi hai shabnam tamam raat aise mein koi nannhi kali muskurae to 'adil' hawaen kab se bhi deti hain dastaken jaldi se uth ke kamre ka darwaza khol do