bit gaya hai pyar ka mausam ghar ghar sahra jaisa hai dil ke darwaze par ab to khamoshi ka pahra hai sat samundar par jo aa kar dasht-e-faza ko dekha hai ret ka manzar aankhon mein hai dil mein khauf ka dariya hai us ki kashti dub gai thi bich bhanwar mein aa ke magar kis mushkil se jaan bacha kar sahil tak wo aaya hai zulmat ki rahon mein hum bhi gum ho kar rah jate magar nur ka paikar sath hamare aage aage chalta hai bhul gaya hun sab kuchh 'salim' mujh ko kuchh bhi yaad nahin yaadon ke aaine mein ab ek ek chehra dhundla hai