hazar bar use nakaamiyon ne samjhaya magar ye dil teri ulfat se baz kab aaya wahi lagan hai ki chaliye jahan kahin tu ho wahi chubhan ki mohabbat se hum ne kya paya khulega raaz ki aanchal ki kya haqiqat hai kabhi jo sar se mohabbat ke ye dhalak aaya gulon ke ghaw bhi shabnam se dhul sake hain kabhi ki ashk ne mere zakhmon ko aur mahkaya wo kya maqam hai daman ki aarzu mein nadim jahan pe dast-e-tamanna bhi ja ke tharraya yahan bahaar na jaan-e-bahaar hai 'masud' kahan se turfa ghazal aaj phir ye kah laya