kis kis se dosti hui ye dhyan mein nahin un mein se ek bhi mere saman mein nahin rasm-e-wafa ka us se nibhana bhi hai muhaal tark-e-talluqat bhi imkan mein nahin bandhen kisi se ahd-e-wafa hum to kis tarah ek tar bhi to apne gareban mein nahin kyun hum ne haar man li kyun dal di sipar ye saneha shikast ke elan mein nahin ye jaan supurdagi hai usi ek baat par jo baat mere ishq ke paiman mein nahin shoridgi ko hain sabhi aasudgi nasib wo shahr mein hai kya jo bayaban mein nahin 'tishna' wo shab likhi hai hamare nasib mein jis ki sahar ka zikr bhi imkan mein nahin