chandni mein rukh-e-zeba nahin dekha jata mah o khurshid ko yakja nahin dekha jata yun to un aankhon se kya kya nahin dekha jata han magar apna hi jalwa nahin dekha jata dida-o-dil ki tabahi mujhe manzur magar un ka utra hua chehra nahin dekha jata zabt-e-gham han wahi ashkon ka talatum ek bar ab to sukha hua dariya nahin dekha jata zindagi aa tujhe qatil ke hawale kar dun mujh se ab khun-e-tamanna nahin dekha jata ab to jhuti bhi tasalli ba-sar-o-chashm qubul dil ka rah rah ke tadapna nahin dekha jata